kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha

kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha
mujh se inkar raha ghair se iqrar raha

kuchh sarokar nahin jaan rahe ya na rahe
na raha un se to phir kis se sarokar raha

shab-e-khalwat wahi hujjat wahi takrar rahi
wahi qissa wahi ghussa wahi inkar raha

talib-e-did ko zalim ne ye likkha khat mein
ab qayamat pe mera wada-e-didar raha

haal-e-dil bazm mein us shokh se hum kah na sake
lab-e-khamosh ki surat lab-e-izhaar raha

kuchh khabar hai tujhe o chain se sone wale
raat bhar kaun teri yaad mein bedar raha

ek nazar naza mein dekhi thi kisi ki surat
muddaton qabr mein bechain dil-e-zar raha

dil hamara tha hamara tha hamara lekin
un ke qabu mein raha un ka taraf-dar raha

umr hans-khel ke is tarah guzari ai 'hijr'
dost ka dost raha yar ka main yar raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close