kufa-e-shab ne jo tabir ki had jari ki

kufa-e-shab ne jo tabir ki had jari ki
main ne jalte hue khwabon ki aza-dari ki

waqt ne us ke muqaddar mein likhi tariki
jis ne chadhte hue suraj ki taraf-dari ki

dil dhadakne pe musir tha so dhadakta hi gaya
lamha-e-did ki aankhon ne nigah-dari ki

taq-e-har-chashm pe khwabon ke diye bujh se gae
kuchh hawa aisi chali shahr mein bedari ki

sukh ka kirdar nibhane ke liye umr tamam
main ne roti hui aankhon se adakari ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close