kunj-e-tanhai mein rakkha hua rah jata hai dil ki sine mein uchhalta hua rah jata hai jumbish-e-chashm se duniya hi badal jati hai aur meri aankh mein socha hua rah jata hai ab to aisa hai ki aankhon ko agar khol bhi lun dil kisi khwab mein lipta hua rah jata hai likh to lete hain tera nam ba-sad shauq magar kya kabhi ret pe likkha hua rah jata hai kuchh chala jata hai dariyaon ke hamrah ye dil kuchh rag-e-jaan mein hi bahta hua rah jata hai us ki yaadon ko dil-o-jaan se rukhsat karna kaam aisa hai ki hota hua rah jata hai main to laut aata hun har sham ko ghar mein lekin dil kisi rah pe chalta hua rah jata hai