kya baat hai ai jaan-e-sukhan baat kiye ja mahaul pe naghmat ki barsat kiye ja duniya ki nigahon mein badi hirs bhari hai na-ahl zamane se hijabaat kiye ja neki ka irada hai to phir puchhna kaisa din raat faqiron ki mudaraat kiye ja chalte rahen madhosh piyalon ki rawish par nadan sitaron ko hidayat kiye ja allah tera husn kare aur ziyaada hum rah-nashinon se mulaqat kiye ja ban aae jawabaat to mil jaenge khud hi ai dawar-e-mahshar tu sawalat kiye ja hasti o adam kya hain ba-juz jumbish-e-abru ai jaan-e-kinayat ishaaraat kiye ja kahta hai 'adam' mujh ko har ek gosha-e-hasti aaya hai to kuchh sair-e-kharabaat kiye ja