kya bala ka hai nasha ishq ke paimane mein koi hoshiyar nahin aql ke kashane mein dub jata hai mera ji jo kahun qissa-e-dard nind aati hai mujhi kun mere afsane mein dil mera zulf ki zanjir sin hai bazi mein apne is kaam ka kya hosh hai diwane mein kya maze ka hai tere seb-e-zanakhdan ka khal lazzat-e-mewa-e-firdaus hai is dane mein is adab-gah kun tun masjid jama mat bojh shaikh be-bak na ja gosha-e-mai-khane mein aankh uthate hi mere hath sin mujh kun le gae khub ustad ho tum jaan ke le jaane mein khush hun main sohbat-e-majnun sin na liyo aql ka nam aashnai ki kahan bas hai begane mein shoala hai aab-e-hayat-e-dil-e-mushtaq 'siraj' is samundar sin bada farq hai parwane mein