kya bala sehr hain sajan ke nayan hai khajil jis ange hiran ke nayan mujh pe karte hain yar ka jadu us sitamgar-e-sehr-e-fan ke nayan gardish-e-mai sun aaj farigh hai jin ne dekhe hain khush-nayan ke nayan aarzu mein teri ai nur-e-nazar muntazir hun khule hain man ke nayan shor dale hain sare aalam mein dilbar-e-shakkarin-sukhan ke nayan gul-e-nargis agar nahin dekha dekh yakbar gul-badan ke nayan kyun na hue hijr be-khabar sun 'siraj' hosh khote hain man hiran ke nain