kya bataen gham-e-furqat mein kahan se guzre

kya bataen gham-e-furqat mein kahan se guzre
mausam-e-gul se jo nikle to khizan se guzre

dil se aankhon se makinon se makan se guzre
dard phir dard hai jab chahe jahan se guzre

husn ki shokh-sari ka yahi hasil nikla
aatish-e-ishq badhi aah-o-fughan se guzre

raqs karte hi rahe khwab dhunon par lekin
sans ke tar sabhi soz-e-nihan se guzre

ba-wazu ho ke mera zikr jo karte the kabhi
aaj palte hain zaban se wo bayan se guzre

wo mohabbat ho ke isar-o-wafa ho 'zakir'
ishq ke tir shab-o-roz kaman se guzre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close