kya be-murawwati ka shikwa gila kisi se

kya be-murawwati ka shikwa gila kisi se
khud hum ne kab wafa ki apne siwa kisi se

is hath se wasuli us hath se adai
pahuncha diya kisi ko jo kuchh mila kisi se

malum hai hamein hum kitne padhe likhe hain
ye sun liya kisi se wo sun liya kisi se

us daur mein kahan ye aazadi-e-amal thi
chori-chhupe hamara tha silsila kisi se

sab ek dusre ki har baat jaante hain
makhfi nahin kisi ka achchha bura kisi se

tum hi khulus-e-dil se aa jate ho 'shuur' ab
milta hai kaun warna be-faeda kisi se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close