kya DhunDne aae ho nazar mein

kya dhundne aae ho nazar mein
dekha hai tumhin ko umr-bhar mein

meayar-e-jamal-o-rang-o-bu the
wo jab tak rahe meri chashm-e-tar mein

ab khwab-o-khayal ban gae ho
ab dil mein raho, raho nazar mein

wo rang tumhaare kaam aaya
udta hai jo gham ki dopahar mein

hae ye tawil o sard raaten
aur ek hayat-e-mukhtasar mein

ab surat-e-haal ban gaya hun
milta hun nigah-e-chaaragar mein

ya aur sitare aur shabnam
ya mar rahen daman-e-sahar mein

ya manzil-e-mahr-o-mah bhi hai
ya rah-e-farar hai safar mein

wo bhi to 'zafar' se khush nahin hain
rahte hain jo dida-e-'zafar' mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close