kya din the we ki yan bhi dil aarmida tha

kya din the we ki yan bhi dil aarmida tha
ru-ashiyan tair-e-rang-parida tha

qasid jo wan se aaya to sharminda main hua
bechaara girya-nak gareban darida tha

ek waqt hum ko tha sar-e-girya ki dasht mein
jo khar khushk tha sau wo tufan rasida tha

jis said-gah-e-ishq mein yaron ka ji gaya
marg us shikar-gah ka shikar ramida tha

kori chashm kyun na ziyarat ko us ki aae
yusuf sa jis ko madd-e-nazar nur-dida tha

afsos marg sabr hai is waste ki wo
gul-ha-e-bagh ishrat-e-duniya nachida tha

mat puchh kis tarah se kati raat hijr ki
har nala meri jaan ko tegh kashida tha

hasil na puchh gulshan-e-mashhad ka bul-hawas
yan phal har ek darakht ka halq-e-burida tha

dil-e-be-qarar girya-e-khunin tha raat 'mir'
aaya nazar to bismil dar-e-khun tapida tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close