kya hi rah rah ke tabiat meri ghabraati hai

kya hi rah rah ke tabiat meri ghabraati hai
maut aati hai shab-e-hijr na nind aati hai

wo bhi chup baithe hain aghyar bhi chup main bhi khamosh
aisi sohbat se tabiat meri ghabraati hai

kyun na ho apni lagawat ki nazar par nazan
jaante ho ki dilon ko ye laga lati hai

bazm-e-ishrat kahin hoti hai to ro deta hun
koi guzri hui sohbat mujhe yaad aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close