kya jiyega koi hum KHak-nashinon ki tarah

kya jiyega koi hum khak-nashinon ki tarah
ek ek pal yahan guzra hai mahinon ki tarah

us ne chadh kar mere kandhon pe falak chum liya
main zamin par hi khada rah gaya zinon ki tarah

daur-e-hazir mein mohabbat ka koi mol nahin
dil bhi hone lage nilam zaminon ki tarah

khud nahin chalta koi aur chalata hai use
ab to insan bhi tulta hai mashinon ki tarah

jab se aaya hai fasadat ke mausam mein ubaal
hum bhi maujon mein ghire tute safinon ki tarah

main ne duniya ki nigahon se bacha kar ai 'kalim'
dil mein rakkha teri yaadon ko dafinon ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close