kya kahen tujhse hum wafa kya hai

kya kahen tujh se hum wafa kya hai
soch kuchh dil mein puchhta kya hai

dil hai ye ya ki aabla kya hai
kyun hai itna bhara hua kya hai

kaise kaise jawan kiye barbaad
ishq kya shai hai ye bala kya hai

dil ko dena tha de diya zalim
aur hum ne tera liya kya hai

gar raqabat tumhein nahin mujh se
phir ye aaina dekhna kya hai

pahle rakh le tu apne dil par hath
phir mere khat ko padh likha kya hai

ab wo aankhen nahin hain pahli si
sach kaho tum ko ho gaya kya hai

shauq-e-ashiq-kushi bhala hi sahi
rahm karna bhi par bura kya hai

kya kahen hum bura ki khu hi nahin
par kaho tum hi ye jafa kya hai

jab ki gardan pe khun raha us ki
nam mat lo ki khun-baha kya hai

meri aur aarzu ko tu puchhe
sochta hun ki muddaa kya hai

jaane kya kya hua hai rizq-e-khak
gul-o-lala ko dekhta kya hai

dil ajab chiz hai to tum se aziz
rahne bhi do muamla kya hai

aage aage hain para-ha-e-jeb
mujh ko darkar rahnuma kya hai

kam nigahi bhi shart-e-husn hai par
dekh tu hum mein ab raha kya hai

qatl hote rahe hain hum se puchh
le ke shamshir sochta kya hai

pi gai khun zamin hazaron ki
muft phir shokhi-e-hina kya hai

donon aalam ko kyun kiya pamal
naqsh-e-pa par ye naqsh-e-pa kya hai

ai 'qalaq' kyun qalandari chhodi
ye aba kya hai ye qaba kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close