kya kahun ghuncha-e-gul nim-dahan hai kuchh aur

kya kahun ghuncha-e-gul nim-dahan hai kuchh aur
la-kalami hai wahan baat yahan hai kuchh aur

bujh gai aatish-e-gul dekh tu ai dida-e-tar
kya sulagta hai jo pahlu mein dhuan hai kuchh aur

pani us mein se bharen is mein giren yusuf-e-dil
chashma-e-chah-e-zaqan aur kuan hai kuchh aur

jite-ji maut ka dar baad-e-fana khauf-e-azab
juz gham-o-ranj yahan hai na wahan hai kuchh aur

husn-e-surat pe na ja dekh wahin mani ko
ek hain kaba-o-but-khana kahan hai kuchh aur

tum samajhte ho meri be-zehni mein hai kalam
lab-e-goya ki qasam zikr yahan hai kuchh aur

baada-kash wo hun karun shishe ke shishe khali
par lagaun yahi rat nashshe mein han hai kuchh aur

qismat-e-'shad' mein juz gham jo yahan kuchh bhi nahin
ai hawas le chal udhar ko ki jahan hai kuchh aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close