kya KHabar jo nazar aata hai wo manzar hi na ho

kya khabar jo nazar aata hai wo manzar hi na ho
ye samundar kahin sach-much mein samundar hi na ho

jis ki ummid pe sar phod rahi hai duniya
kahin is aahani diwar mein wo dar hi na ho

jaan kar phul jise dil se lagae hue hain
ghaur se dekh len chhu kar use patthar hi na ho

dar-o-diwar se ye kaise nazar aate hain
jis ko virana samajh baithe hain wo ghar hi na ho

is qadar hum ko darana nahin achchha 'athar'
kya pata hum ko kisi chiz ka phir dar hi na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close