kya KHabar thi ishq mein aisa bhi ek daur aae hai

kya khabar thi ishq mein aisa bhi ek daur aae hai
baat kaisi sans leta hun to ji ghabrae hai

rahm kar jazb-e-mohabbat ye sitam kyon dhae hai
husn aur betab-o-hairan kis se dekha jae hai

yun to un ki yaad se milti hai taskin-e-hayat
aur jab tadpae hai zalim bahut tadpae hai

khushk aankhen muskuraate hont chehra mutmain
yun bhi aksar dastan-e-gham sunai jae hai

aur to kya zindagi ka hosh tak chhoda nahin
lutne wale kahin aise bhi luta jae hai

rang-e-gulshan dekhne wale kabhi ye bhi to dekh
nannhi nannhi pattiyon mein kaun ras daudaye hai

ishq ke mare hue duniya ko dekhen bhi to kya
jab nazar uthti hai koi samne aa jae hai

husn chhupta phir raha hai mukhtalif pardon mein 'kaif'
ishq ki zalim nazar ke samne kaun aae hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close