kya kisi lamha-e-rafta ne sataya hai tujhe

kya kisi lamha-e-rafta ne sataya hai tujhe
in dinon main ne pareshan sa paya hai tujhe

bahr-e-shadabi-e-jazbaat ki ai mauj-e-rawan
kaun is dasht-e-bala-khez mein laya hai tujhe

teri tanwir salamat magar ai mahr-e-mubin
ghar ki diwar pe yun kis ne sajaya hai tujhe

shikwa-e-talkhi-e-haalat baja hai lekin
is pe rota hun ki main ne bhi rulaya hai tujhe

gah pahna hai tujhe khilat-e-zarrin ki tarah
gah paiwand ke manind chhupaya hai tujhe

tu kabhi mujh se rahi misl-e-saba daman-kash
aur kabhi apne hi bistar pe sulaya hai tujhe

meri aashufta-mizaji mein nahin koi kalam
ruth ke sare zamane se manaya hai tujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close