kya kya hain gile us ko bata kyun nahin deta tazir-e-khata mujh ko suna kyun nahin deta hain nawak-e-dil-doz mere yar ke tewar ek bar wo sab tir chala kyun nahin deta yak-tarfa mohabbat ke tazabzub se to niklun is raaz se parda wo hata kyun nahin deta likhta bhi hai mujh ko sar-e-qirtas-e-mohabbat mazmum jo lagta hun mita kyun nahin deta itna hi fasurda hai agar haal pe mere jalwa kabhi apna wo dikha kyun nahin deta sar-garm-e-safar hun main tere dasht mein kab se mujh ko meri manzil ka pata kyun nahin deta khwabida-nasibi bhi to teri hi ata hai soi meri taqdir jaga kyun nahin deta jo tab-e-tamasha hi nahin us mein 'raza' tu wo aatish-e-furqat ko bujha kyun nahin deta