kya kya mohabbaton ke zamane badal gae

kya kya mohabbaton ke zamane badal gae
ab tum kabhi mile ho to aansu nikal gae

fart-e-gham-e-hawadis-e-dauran ke bawajud
jab bhi tere dayar se guzre machal gae

main nukta-chin nahin hun magar ye bataiye
wo kaun the jo hans ke gulon ko masal gae

kuchh dast-e-gul-farosh mein sanwla ke rah gae
kuchh baghban ki barq-nawazi se jal gae

tum ne hamein fareb-e-qayaadat diya to hai
lekin kabhi hua hai ki tufan tal gae

ek wo bhi the jo bah gae maujon ke sath sath
ek hum bhi hain jo kha ke thapede sambhal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close