kya lutf ki wo zulm bhi jari nahin rakhte

kya lutf ki wo zulm bhi jari nahin rakhte
kya dost hain kuchh laj hamari nahin rakhte

hum lipte hue ghar se bhi rahte nahin lekin
hijrat ka koi khauf bhi tari nahin rakhte

eajaz-e-takhayyul se pahunchte hain sar-e-arsh
hum ahl-e-hunar koi sawari nahin rakhte

rahne pe nahin tum hi jo tayyar to jao
hum koi nishani bhi tumhaari nahin rakhte

ye yaad rahe aan pe mar mitte hain hum log
mat bhulna hum jaan bhi pyari nahin rakhte

kyun bojh paron ka liye phirte hain na jaane
'ayyaz' parinde jo atari nahin rakhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close