kya nazar aaega nazir mere

kya nazar aaega nazir mere
zakhm ghaeb hain ba-zahir mere

phir mujhe dost mile patthar ke
aaine tut gae phir mere

in mein kis ko nazar-andaz karun
samne hain jo manazir mere

dushmanon se mujhe pahchan mili
kaam aae wahi aakhir mere

ishq ki rah mein khatre hain bahut
soch lena ye musafir mere

dard sine mein jo poshida the
ashk wo kar gae zahir mere

likhne baitha hai kahani meri
thak na jae tu muharrir mere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close