kya pata kis jurm ki kis ko saza deta hun main

kya pata kis jurm ki kis ko saza deta hun main
rang sa ek bandhta hun phir bhula deta hun main

apne aage ab to main khud bhi thahar sakta nahin
samna hote hi chutki mein uda deta hun main

moajiza agla to ab shayad purana ho chala
dekhna ab ke koi chakkar naya deta hun main

mujh se aage bhi nikal jaana bahut mushkil nahin
aaj-kal aahista-rau hun rasta deta hun main

shor sa uthta hai aur uthte hi dab jata hai ab
harf sa likhne se pahle hi mita deta hun main

taki meri sulh-jui ko lage kuchh bhaw bhi
har nae fitne ko dar-parda hawa deta hun main

baat bhi sunta nahin hun wasl mein dil ki 'zafar'
aise khar-maston ko mahfil se utha deta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close