kya pata kya tha udhar aur kya na tha qad mera diwar se uncha na tha zehn murda jism be-his be-libas main ne wo dekha hai jo dekha na tha bhagta phirta hun apne-ap se aisa bhi hoga kabhi socha na tha malgaje bigde se chehre har taraf zindagi pahle tujhe dekha na tha masale kuchh likh gaya diwar par ek diwana jo diwana na tha us ki lakhon mein yahi pahchan thi qabr par us ki koi katba na tha jis ne jo manga use wo de diya ai khuda kya main tera banda na tha