kya rafu ho zindagi sozan juda dhage alag khwahish-e-dil aalam-e-imkan se lage alag soch ye bhi tu kabhi ai juzw-e-takmil-e-wajud jism ho kya mo'atabar saya jahan lage alag kar-e-la-hasil nahin thi waqt ki bakhiya-gari par zamana kar raha hai zakhm se dhage alag manzil-e-hasti talak to sath ke imkan the yun bhi ho jaana tha ja kar ek zara aage alag shauq-e-zebaish mein hum ko fikr le aai jahan khak ka putla jamal-e-khak se lage alag kya yahi hai aankh ki wadi mein basne ka samar do parinde umr bhar tadpe alag jage alag khaliq-e-husn-e-takhayyul hun thikana hai mera aalam-e-sath-e-nazara se zara aage alag