kyon tirgi pe tum ko guman chandni ka hai aakhir ye rang rup kahan chandni ka hai zulmat ka ishtihaar bane phir rahe hain hum socho agar to ye bhi ziyan chandni ka hai ye raushni ka shahr hai kaisa ki ab yahan dekha jise bhi nauha-kunan chandni ka hai is shahr-e-be-charagh se aao nikal chalen wo is liye ki shor yahan chandni ka hai na-binagi ke rog mein hain mubtala wahi 'parwaz' jin ka apna makan chandni ka hai