kyun aashna-e-gham dil-e-wahshat-asar nahin

kyun aashna-e-gham dil-e-wahshat-asar nahin
manus-e-iltifat wo zalim agar nahin

main hun talash-e-rah-e-mohabbat hai dasht hai
saya nahin nishan nahin ham-safar nahin

phir rah-rau se leta hun manzil ka kuchh suragh
sab rahbar hain mere koi rahbar nahin

phir andalib-e-zar ne tinke utha liye
shayad chaman ujadne ki is ko khabar nahin

main aur jam-o-naghma-o-mutrib se wasta
khush hun ki mera bazm-e-tarab mein guzar nahin

kyun jal na jae tab-e-rukh-e-yar dekh kar
dil hai ye koi chashm-e-haqiqat-nigar nahin

auraq-e-do-jahan pe jo tahrir ho sake
itna mera fasana-e-gham mukhtasar nahin

zabt-e-junun ne dhai hain dil ki imaraten
ab is dayar mein koi diwar-o-dar nahin

dil ko supurd karte hain apna payam-e-jaan
ye mo'tabar nahin to koi mo'tabar nahin

paiwast hon na jis mein zamane ke dil 'jigar'
kuchh aur hai wo aap ka tir-e-nazar nahin

kaisi dua kahan ka asar kis ka muddaa
kuchh aag ke siwa mere dil mein 'jigar' nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close