kyun khafa tu hai kya kaha main ne mar kaha tu ne marhaba main ne kyun surahi-e-mai ko de patka tu ne toda ya bewafa main ne na-tawani mein ye tawanai dil ko tujh se utha diya main ne de ke ye tujh ko ye liya ki diya gauhar-e-be-baha liya main ne kyun khum-e-mai ko mohtasib toda kya kiya main ne kya kiya main ne kyun na ruk ruk ke aae dam mera tujh ko dekha ruka ruka main ne gul hazaron mein shama-e-aish 'ehsan' jaise us gul ko dil diya main ne