lab pe pabandi to hai ehsas par pahra to hai

lab pe pabandi to hai ehsas par pahra to hai
phir bhi ahl-e-dil ko ahwal-e-bashar kahna to hai

khun-e-ada se na ho khun-e-shahidan hi se ho
kuchh na kuchh is daur mein rang-e-chaman nikhra to hai

apni ghairat bech dalen apna maslak chhod den
rahnumaon mein bhi kuchh logon ka ye mansha to hai

hai jinhen sab se ziyaada dawa-e-hubbul-watan
aaj un ki wajh se hubb-e-watan ruswa to hai

bujh rahe hain ek ek kar ke aqidon ke diye
is andhere ka bhi lekin samna karna to hai

jhut kyun bolen farogh-e-maslahat ke nam par
zindagi pyari sahi lekin hamein marna to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close