labon ki jumbish nawa-e-bulbul hai shokh lahja tera qayamat daraaz qamat ghazal aankhen gulab chehra tera qayamat ghataen zulfen khumar palken mahin aanchal pe mah-o-anjum suhani raaton ki chandni mein hai chhat pe jalwa tera qayamat zamin-e-dil par ada-e-dilbar chalae nashtar uthae mahshar nazar uthana nazar jhukana har ek harba tera qayamat gulon ki lali shagufta aariz pe fasl-e-gul ki safir thahri nashile lab ki halawaton se dhadakta naghma tera qayamat jo tu ne khole hawa mein gesu mahak utha hai tamam gulshan hasin sumbul ke darmiyan hai damakta chehra tera qayamat tere shabistan ke goshe goshe mein raushni ka zuhur har-pal aqidaton ke diye se raushan nafis kamra tera qayamat kanwal badan par machalti sansen chhalakte saghar ki tarjuman hai gudaz banhen surahi gardan sarapa naqsha tera qayamat wafaen mujh se jafaen mujh se adaen har-pal yahi hain 'zakir' kabhi hai ghamza kabhi hai ishwa ye naz nakhra tera qayamat