labon pe narm tabassum racha ke dhul jaen

labon pe narm tabassum racha ke dhul jaen
khuda kare mere aansu kisi ke kaam aaen

jo ibtida-e-safar mein diye bujha baithe
wo bad-nasib kisi ka suragh kya paen

talash-e-husn kahan le chali khuda jaane
umang thi ki faqat zindagi ko apnaen

bula rahe hain ufuq par jo zard-ru tile
kaho to hum bhi fasanon ke raaz ho jaen

na kar khuda ke liye bar bar zikr-e-bahisht
hum aasman ka mukarrar fareb kyun khaen

tamam mai-kada sunsan mai-gusar udas
labon ko khol ke kuchh sochti hain minaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close