lafz yun KHamushi se laDte hain

lafz yun khamushi se ladte hain
jis tarah gham hansi se ladte hain

jaanwar jaanwar se ladta hai
aadmi aadmi se ladte hain

maut ki aarzu mein diwane
umr-bhar zindagi se ladte hain

jis se hai dosti ka hukm hamein
hum bhi pagal usi se ladte hain

dusron se kabhi nahin ladte
log jo bhi khudi se ladte hain

ye andheron ke hukmaran sare
aaj bhi raushni se ladte hain

jo ana ke mariz hote hain
har nae din kisi se ladte hain

aur bhi log jab hain basti mein
aap kyun kar hami se ladte hain

un ko mazdur kahna thik nahin
log jo muflisi se ladte hain

'abr' be-kar log puchhte hain
aap bhi kya kisi se ladte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close