lafzon ke sahra mein kya mani ke sarab dikhana bhi koi sukhan sahabi koi naghma nakhlistana bhi ek muddat se hosh-o-khabar ki khamoshi raij hai yahan kash dayar-e-asr mein gunje koi sada mastana bhi nape-tule aahang pe kab tak sambhal sambhal kar raqs karen koi dhun diwani koi harakat majnunana bhi shahr se bahar kohsaron ke bich ye thahra thahra din kitna apna sa lagta hai aaj dil-e-begana bhi ek tilismi rah fasil-e-tan se nawah-e-jaan tak hai jis ki khoj mein kho jao to mumkin hai pa jaana bhi aagahi makus safar hai danish-gah ke raste ka jis ka har jaana-pahchana manzar hai an-jaana bhi bol wahi hain sur bhi wahi mizrab ki jumbish badle to yas-o-alam ke taron mein muzmar hai ek tarana bhi hasil aur la-hasil par ab waise bhi kiya ghaur karen aur chhalakne wala ho jab sanson ka paimana bhi kitni aag kashakash kitni kitna tahammul hai darkar 'saz' koi aasan nahin hai lafzon ko pighlana bhi