laga jab aks-e-abru dekhne dildar pani mein baham har mauj se chalne lagi talwar pani mein nahana mat tu ai rashk-e-pari zinhaar pani mein habab aisa na ho shisha bane ek bar pani mein suna ai bahr-e-khubi teri athkheli se chalne ki udai rafta rafta mauj ne raftar pani mein jhalak is tere kafash-e-pusht-e-mahi ki agar dekhe kare qalib tahi mahi bhi phir lachaar pani mein nahin lakht-e-jigar ye chashm mein phirte ki mardum ne charagh ab kar ke raushan chhode hain do-chaar pani mein lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka bhanwar kale ke daf baje hai mauj ai yar pani mein kahun kya sath ghairon ke to us be-did ne hamdam nahane ke liye hargiz na ki takrar pani mein kaha main ne jo itna rakh qadam is dida-e-tar par laga kahne ki aati hai meri paizar pani mein 'nasir' aasan nahin ye baat pani sakht mushkil hai uthai rekhte ki tu ne kya diwar pani mein