zara zara si aan mein wo jaan-e-jaan badal gaya kabhi to baat kat di kabhi zaban badal gaya hamein to ye gila nahin ki jaan-e-jaan badal gaya gila ye hai ki wo ba-haqq-e-digaran badal gaya bahaar to bahaar thi khizan bhi ab bahaar hai nizam-e-gulsitan mizaj-e-baghban badal gaya baja ki hai taghayyur-e-chaman se zinat-e-chaman magar ye kya ki gulsitan ka gulsitan badal gaya fughan-o-zabt-e-ah mein yahi hai farq aur kya ki aag to lagi rahi magar dhuan badal gaya rah-e-hayat se hazaron raste nikal gae kise ye ab khayal hai ki koi kahan badal gaya teri nigah thi to ek jahan sazgar tha teri nigah phir gai to ek jahan badal gaya wahi fareb-e-dushmanan hai is ka gham nahin hamein hamein to gham ye hai khulus-e-dostan badal gaya junun ne saunp di khirad ke hath rasm-e-rahbari lo ahl-e-karwan amir-e-karwan badal gaya wajud se adam ko yun chala gaya hai ek gharib kirae-dar jis tarah koi makan badal gaya haram se jo khulus tha hai der se wahi khulus jabin wahi hai kya hua jo aastan badal gaya