lahu-luhan tha shakh-e-gulab kat ke wo hua halak chatanon ke khwab kat ke wo main guzre waqt ke kis aasman mein jita hun gaya kabhi ka hawa ki tanab kat ke wo isi umid pe jalti hain dasht dasht aanhken kabhi to aaega umr-e-kharab kat ke wo hue hain khushk bhari dopahar kai dariya is aarzu mein ki rakh de sarab kat ke wo guzishta shab se jazire mein wardat nahin bhanwar ko le gaya yun zer-e-ab kat ke wo