lahu mein KHak-e-shifa gundhne ki KHwahish thi

lahu mein khak-e-shifa gundhne ki khwahish thi
mujhe husain se kuchh mangne ki khwahish thi

wo jis pisar ke jigar mein utar gai barchhi
usi pisar ko jawan dekhne ki khwahish thi

meri talash mujhe karbala mein le aai
mujhe zamin pe khuda dhundne ki khwahish thi

jinhon ne luta tha maula husain ka lasha
unhin sinan se rida lutne ki khwahish thi

main daudti rahi har tir ke taaqub mein
mujhe pidar ka gala chumne ki khwahish thi

khuda ke aakhiri lashkar mein bas bahattar the
khuda ko karb-o-bala jitne ki khwahish thi

mere husain mujhe hur samajh muafi de
mere husain mujhe lautne ki khwahish thi

bujha charagh to parkha junun bahattar ka
jinhen lahu se ziya bantne ki khwahish thi

furaat mashk mein bhar ke khiyam tak ghazi
na laut paya magar lautne ki khwahish thi

sinan ki nok pe dekho husain zinda hai
kata nahin hai jo sar katne ki khwahish thi

salam ashk ki khushbu mein odh kar 'rahib'
dayar-e-karb-o-bala bhejne ki khwahish thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close