lakh samjhaya magar zid pe aDi hai ab bhi

lakh samjhaya magar zid pe adi hai ab bhi
koi ummid mere pichhe padi hai ab bhi

shahr-e-tanhai mein mausam nahin badla karte
din bahut chhota yahan raat badi hai ab bhi

man lun kaise yahan dariya nahin tha logo
dekh lo ret pe ek kashti padi hai ab bhi

chhat mein kuchh chhed hain ye raaz batane ke liye
dhup khamoshi se kamre mein khadi hai ab bhi

waqt ne nam-o-nasab chhin liya hai lekin
ghaur se dekh meri nak badi hai ab bhi

aasman tu ne chhupa rakkha hai suraj ko kahan
kyun kalai mein teri band ghadi hai ab bhi

manzilen deti hain aawaz ki jaldi aao
ped kahte hain ruko dhup kadi hai ab bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close