lakh Takraate phiren hum sar dar-o-diwar se

lakh takraate phiren hum sar dar-o-diwar se
ji ki bharta hi nahin hai lazzat-e-azar se

kuchh to ghar walon ne hum ko kar diya mazur sa
aur kuchh hum fitratan ukta gae ghar-bar se

yak-ba-yak aisi bhi sab par kya qayamat aa gai
shahr ke sab log kyun lagne lage bimar se

tere sapnon ki wo duniya kya hui us ko bhi dekh
ho chuki hain nam bahut aankhen utha akhbar se

muntazir tha dubne wale ka koi to zarur
ek sada aai thi us ke nam dariya par se

sab se achchha to yahi ghaalib tera jam-e-sifal
tut bhi jae to phir le aaiye bazar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close