lakh unchi sahi ai dost kisi ki aawaz apni aawaz bahar-e-haal hai apni aawaz ab kuen par nazar aata nahin pyason ka hujum tere pazeb ki kya tut ke bikhri aawaz wo kisi chhat kisi diwar se roke na ruki garm honton ke tasadum se jo ubhri aawaz logo sach mat kaho sach ki nahin qimat koi kisi diwane ki sannate mein gunji aawaz budhi sadiyon ki jaden kat diya karti hai chot khae hue jazbaat ki zakhmi aawaz main ne jab jab kaha tishna hain adab ki qadren dab gai kitni hi aawazon mein meri aawaz waza-dari ne kahin ka nahin rakkha 'zahid' warna kitnon ne badal rakkhi hai apni aawaz