lams ko chhoD ke KHushbu pe qanaat nahin karne wala

lams ko chhod ke khushbu pe qanaat nahin karne wala
aisi-waisi to main ab tum se mohabbat nahin karne wala

mujh se behtar koi duniya mein kitabat nahin karne wala
par tere hijr ki main jald ishaat nahin karne wala

apne hi jism ko kal us ne meri aankhon se pura dekha
is se badh kar koi manzar kabhi hairat nahin karne wala

mazhab-e-ishq se mansub ye baaten to kharij ki hain
sham-e-hijran main kisi taur main shirkat nahin karne wala

aisi bhagdad mein koi paon tale aae to shikwa na kare
gir gaya main to koi mujh se riayat nahin karne wala

lau larazne ka koi aur hi matlab na nikal aae kahin
puchhne par bhi charagh aur wazahat nahin karne wala

mujhe chalte hue raste ke shajar dekhte jate hain 'raza'
par mere sath ukhad kar koi hijrat nahin karne wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close