lapaT si dagh kuhan ki taraf se aati hai

lapat si dagh kuhan ki taraf se aati hai
jab ek hawa tere tan ki taraf se aati hai

main teri manzil-e-jaan tak pahunch to sakta hun
magar ye rah badan ki taraf se aati hai

ye mushk hai ki mohabbat mujhe nahin malum
mahak si mere hiran ki taraf se aati hai

pahad chup hain to ab reg-zar bolte hain
nida-e-koh khutan ki taraf se aati hai

kisi ke wada-e-farda ke barg-o-bar ki khair
ye aag hijr ke ban ki taraf se aati hai

jugon ke khoe huon ko pukarta hai ye kaun
sada to khak-e-watan ki taraf se aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close