lau de utha charagh-e-tamanna bujha hua guzra ye aaj kaun idhar dekhta hua ye hadsat bhi to guzarne zarur the ai ishq kyun udas hai jo kuchh hua hua wo rang kya hue wo bahaaren kidhar gain ai ham-safir sara chaman hai luta hua yun aaj be-qarar hai duniya-e-arzu jis tarah tilmilae koi dil dukha hua kyun aaj bazm-e-zist mein be-kaifiyan si hain ai husn teri mast-nigahi ko kya hua girdab-e-gham hai aur meri kashti-e-umid phir bahr-e-zindagi mein hai tufan utha hua apna pata na jada-e-manzil ki kuchh khabar khud mit gaya hun 'naqsh' unhen dhundhta hua