le uDe gesu pareshani meri

le ude gesu pareshani meri
aaine le bhage hairani meri

kah utha joban ki bas bas ho chuki
nichi nazron se nigahbani meri

baam par kah aae ja kar aah-e-garm
badh ke bijli se hai jaulani meri

gesuon se un ke achchhi gham ki raat
main fida us par wo diwani meri

pyare pyare munh se phir kah de zara
ho mubarak tujh ko mehmani meri

sath mere dil bhi mitti ho chuka
tere sadqe khak kyun chhani meri

itni muddat mein bichhad kar dil mila
der tak surat na pahchani meri

thak gae wo ruk gaya khanjar 'riyaz'
ab badi mushkil hai aasani meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close