lihaz karte adab ehtiram karte hue

lihaz karte adab ehtiram karte hue
guzar raha hun mohabbat ko aam karte hue

ye raat aa ke mujhe phir se jod deti hai
main tut jata hun din ikhtitam karte hue

baghair zad-e-safar hum pahunch gae manzil
bhatakte girte sambhalte qayam karte hue

kisi ka koi bhi kirdar rah na jae kahin
khayal rakhna kahani tamam karte hue

mera zamir malamat kare hai yun mujh par
mujhe jo dekhe hai tujh ko salam karte hue

ye mere pusta-e-jaan mein shigaf the lekin
kisi ne dekha nahin rok tham karte hue

wo baat baat pe naraaz hone lagta hai
so khauf aata hai us se kalam karte hue

koi mazaq nahin umr bhar ki mehnat ko
kaleja chahiye ghairon ke nam karte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close