likkhenge na is haar ke asbab kahan tak

likkhenge na is haar ke asbab kahan tak
rakkhenge mera dil mere ahbab kahan tak

girti hui diwar ke sae mein pada hun
shal honge na aakhir mere aasab kahan tak

hasrat hai ki tabir ke sahil pe bhi utrun
dekhunga yunhi roz nae khwab kahan tak

aawaz se aari hain jo tuti hui taren
kaam aaegi is haal mein mizrab kahan tak

wo abr ka tukda hai magar dekhna ye hai
hoti hain nigahen meri sairab kahan tak

kuchh dur kinare ke manazir to hain lekin
jaega ye dariya yunhi payab kahan tak

darta hun kahin zabt ka pal bit na jae
shoalon ko chhupaunga tah-e-ab kahan tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close