log karte hain faqat waqt guzari pagal

log karte hain faqat waqt guzari pagal
baat karta hai yahan kaun hamari pagal

us ne ek bar kaha koi nahin tum jaisa
tab se main lagne lagi khud ko bhi pyari pagal

wo bhi hans hans ke kiya karta tha baaten aur main
us ki baaton mein chali aai bichaari pagal

ek muddat se teri rah mein aa baithi hai
ishq mein tere hui raj-kumari pagal

main ne puchha ki koi mujh se ziyaada hai hasin
aaina hans ke ye bola ari ja ri pagal

yun nahin hai ki faqat nain hue hain mere
dekh kar tujh ko hui sari ki sari pagal

us ne puchha ki meri ho nan to phir main ne kaha
han tumhaari main tumhaari main tumhaari pagal

main 'rabab' is se ziyaada tujhe ab kya deti
zindagi main ne tere nam pe wari pagal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close