log paband-e-salasil hain magar KHamosh hain

log paband-e-salasil hain magar khamosh hain
be-hisi chhai hai aisi ghar ke ghar khamosh hain

dekhte hain ek-duje ko tamashe ki tarah
un pe karti hi nahin aahen asar khamosh hain

hum harif-e-jaan ko is se badh ke de dete jawab
koi to hikmat hai is mein hum agar khamosh hain

apne hi ghar mein nahin milti aman to kya karen
phir rahe hain muddaton se dar-ba-dar khamosh hain

tutne se bach bhi sakte the yahan sab aaine
jaane kyun is shahr ke aaina gar khamosh hain

pesh-khema hai 'shanawar' ye kisi tufan ka
sab parinde ud gae hain aur shajar khamosh hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close