luTao jaan to banti hai baat kis ne kaha

lutao jaan to banti hai baat kis ne kaha
ye bazm-e-ishq mein raaz-e-hayat kis ne kaha

rah-e-talab mein sunata koi tarana-e-nau
yahan fasana-e-zat-o-sifat kis ne kaha

abhi sawabit-o-sayyar mein hai fasl bahut
simat chuki hai bahut kaenat kis ne kaha

har ek chot pe khulti hai aankh insan ki
hain khizr-e-rah-e-talab hadsat kis ne kaha

hum aasman ko zamin par utar lae magar
abhi nahin hai shuur-e-hayat kis ne kaha

hum apni dhun mein hain masruf kis taraf dekhen
hamein nahin hai gham-e-iltifat kis ne kaha

hamein sukun mayassar nahin magar 'akhtar'
hamare daur ko daur-e-najat kis ne kaha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close