luTe maze jo humne tumhaare ugal ke

lute maze jo hum ne tumhaare ugal ke
mar mar gae raqib lahu dal dal ke

be-yar dud-o-lukka mere aasman bana
saqi bana de mah piyala uchhaal ke

bigde hue ho aaj banawat na kijiye
ai jaan chhupte hain kahin tewar malal ke

pahuncha diya hai dam mein lab-e-baam-e-yar tak
qail hain hum to apni kamand-e-khayal ke

duniya-e-dun ko aankh utha kar na dekhiye
aashiq jawan hote hain kab pir-zal ke

apne hi silsile mein hai baiat unhen nasib
zulfon ke sab faqir hamare hain baal ke

tuten na khar aur kahin phuten na aable
wahshat mein panw rakhte hain apna sambhaal ke

wahshat mein apne hath se pahuncha hamein gazand
pachhtae aastin mein hum sanp pal ke

hum un se aur wo hum se dam-e-sulh the khajil
chhinte lada kiye araq-e-infial ke

be-yar mai-kashi bhi jo kije to gham ke sath
jam-o-subu banaiye gard-e-malal ke

dil mein tumhaari yaad bhi hai jaan lijiye
tir-e-nigah lagaiega dekh-bhaal ke

danton mein missi mal ke agar kijiye khelal
nazron mein mail surma hon tinke khelal ke

raftar-e-kilk qahr hai aafat sarir-e-kilk
mazmun jo likh raha hun tere bol-chaal ke

ham-mashrabon mein chal ke 'qalaq' mai-kashi karo
jhagde wahan nahin hain haram-o-halal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close