maal-e-dosti kahiye hadis-e-mah-washan kahiye

maal-e-dosti kahiye hadis-e-mah-washan kahiye
mile dil se zara fursat to dil ki dastan kahiye

magar is khamushi se ahl-e-dil ka kuchh bharam to hai
jo kuchh kahiye to sari umr ki mahrumiyan kahiye

gham-e-dil awwalin daur-e-tamanna ki amanat hai
nawed-e-aish agar suniye nasib-e-dushmanan kahiye

jo rakh le khastagi ki sharm aisi barq rahmat hai
gire jo aashiyan se dur us ko be-aman kahiye

hamara kya hai naseh hum use na-mehrban kah den
par aisa bhi to ho koi ki jis ko mehrban kahiye

kisi se bhi na kahiye haal-e-dil be-mehr duniya mein
yahan sab kuchh ba-andaz-e-hadis-e-digaran kahiye

bas ab uthiye ki nang-e-pursish-e-beja qayamat hai
kahan tak ek ek be-nam se nam-o-nishan kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close